اردو हिंदी
Jis ka chehra gulab jaisa hai | Shaahi Shayari
jis ka chehra gulab jaisa hai

Ghazal

Jis ka chehra gulab jaisa hai

Iqbal Payam

;

jis ka chehra gulab jaisa hai
us ka milna to KHwab jaisa hai

baat karta hun is liye un ki
baat karna sawab jaisa hai

mera jina teri judai mein
ek musalsal azab jaisa hai

nashsha us ki nashili aankhon ka
sab se achchhi sharab jaisa hai

haal us ka bhi aaj-kal yaro
dil-e-KHana-KHarab jaisa hai

ai 'payam' in ki chahaton ka payam
chahaton ki kitab jaisa hai