jis ka badan hai KHushbu jaisa jis ki chaal saba si hai 
us ko dhyan mein laun kaise wo sapnon ka basi hai 
phulon ke gajre toD gai aakash pe sham saloni sham 
wo raja KHud kaise honge jin ki ye chanchal dasi hai 
kali badriya sip sip to bund bund se bhar jaega 
dekh ye bhuri miTTi to bas mere KHun ki pyasi hai 
jangal mele aur shahron mein dhara hi kya hai mere liye 
jag jag jis ne sath diya hai wo to meri udasi hai 
lauT ke us ne phir nahin dekha jis ke liye hum jite hain 
dil ka bujhana ek andher hai yun to baat zara si hai 
chand-nagar se aane wali miTTi kankar rol ke lae 
dharti-man chup hai jaise kuchh soch rahi ho KHafa si hai 
har raat us ki baaten sun kar tujh ko nind aati hai 'zafar' 
har raat usi ki baaten chheDen ye to ajab bipta si hai
        Ghazal
Jis ka badan hai KHushbu jaisa jis ki chaal saba si hai
Yusuf Zafar

