jis ka badan gulab tha wo yar bhi nahin
ab ke baras bahaar ke aasar bhi nahin
peDon pe ab bhi chhai hain ThanDi udasiyan
imkan jashn-e-rang ka is bar bhi nahin
dariya ke iltifat se itna hi bas hua
tishna nahin hain honT to sarshaar bhi nahin
rahon ke pech-o-KHam bhi use dekhne ka shauq
chalne ko tez dhup mein tayyar bhi nahin
bichhDe huon ki yaad nibhate hain jaan kar
warna kisi ko bhulna dushwar bhi nahin
jitna sitam-shiar hai ye dil ye apna dil
utne sitam-shiar to aghyar bhi nahin
ahl-e-hunar ke bab mein us ka bhi zikr ho
'fikri' ko aisi baat pe israr bhi nahin
Ghazal
Jis ka badan gulab tha wo yar bhi nahin
Parkash Fikri