jis jagah aagahi muqayyad hai
us jagah zindagi muqayyad hai
bujh rahe hain gulab se chehre
kya yahan tazgi muqayyad hai
chand jis ka tawaf karta tha
ab wahan KHak si muqayyad hai
ek arzi liye main hazir hun
munsifa raushni muqayyad hai
KHak-e-karbal mein aaj bhi logo
ek ajab tishnagi muqayyad hai
kachche ghar ke nasib mein 'babar'
ja-ba-ja KHastagi muqayyad hai
Ghazal
Jis jagah aagahi muqayyad hai
Ahmad Sajjad Babar