اردو हिंदी
Jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai | Shaahi Shayari
jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai

Ghazal

Jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai

Mirza Ghalib

;

jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai
nafa dimagh-e-ahuw-e-dasht-e-tatar hai

kis ka suragh jalwa hai hairat ko ai KHuda
aaina farsh-e-shash-jahat-e-intizar hai

hai zarra zarra tangi-e-ja se ghubar-e-shauq
gar dam ye hai wusat-e-sahra shikar hai

dil muddai o dida bana muddaa-alaih
nazzare ka muqaddama phir ru-ba-kar hai

chhiDke hai shabnam aaina-e-barg-e-gul par aab
ai andalib waqt-e-wada-e-bahaar hai

pach aa paDi hai wada-e-dil-dar ki mujhe
wo aae ya na aae pe yan intizar hai

be-parda su-e-wadi-e-majnun guzar na kar
har zarra ke naqab mein dil be-qarar hai

ai andalib yak kaf-e-KHas bahr-e-ashyan
tufan-e-amad aamad-e-fasl-e-bahaar hai

dil mat ganwa KHabar na sahi sair hi sahi
ai be-dimagh aaina timsal-dar hai

ghaflat kafil-e-umr o 'asad' zamin-e-nashat
ai marg-e-na-gahan tujhe kya intizar hai