jis gham se dil ko rahat ho us gham ka mudawa kya mani
jab fitrat tufani Thahri sahil ki tamanna kya mani
ishrat mein ranj ki aamezish rahat mein alam ki aalaish
jab duniya aisi duniya hai phir duniya duniya kya mani
KHud shaiKH-o-barahman mujrim hain ek kaam se donon pi na sake
saqi ki buKHl-pasandi par saqi ka shikwa kya mani
jalwon ka to ye dastur nahin pardon se kabhi bahar aaen
ai dida-e-be-taufiq tera ye zauq-e-tamasha kya mani
iKHlas-o-wafa ke sajdon ki jis dar par dad nahin milti
ai ghairat-e-dil ai azm-e-KHudi us dar par sajda kya mani
ai sahib-e-naqd-o-nazar mana insan ka nizam nahin achchha
is ki islah ke parde mein allah se jhagDa kya mani
har-lahza fuzun ho josh-e-amal ye farz hai farz ki rah pe chal
tadbir ka ye rona kaisa taqdir ka shikwa kya mani
maiKHane mein tu ai waiz ab talqin ke kuchh uslub badal
allah ka banda banne ko jannat ka sahaara kya mani
izhaar-e-wafa lazim hi sahi ai 'arsh' magar fariyaaden kyun
wo baat jo sab par zahir hai us baat ka charcha kya mani
Ghazal
Jis gham se dil ko rahat ho us gham ka mudawa kya mani
Arsh Malsiyani