jis din se koi KHwahish-e-duniya nahin rakhta
main dil mein kisi baat ka khaTka nahin rakhta
mujh mein hai yahi aib ki auron ki tarah main
chehre pe kabhi dusra chehra nahin rakhta
kyun qatl mujhe kar ke Dubote ho nadi mein
do din bhi kisi lash ko dariya nahin rakhta
kyun mujh ko lahu dene pe tum log ba-zid ho
main sar pe kisi shaKHs ka qarza nahin rakhta
ahbab to ahbab hain dushman ke tain bhi
kam-zarf zamane ka rawayya nahin rakhta
ye sach hai ki main ghaalib-e-sani nahin lekin
yaran-e-muasir ka bhi lahja nahin rakhta
baadal to 'faragh' asl mein hota hai wo baadal
jo pyas ke sahra ko bhi pyasa nahin rakhta
Ghazal
Jis din se koi KHwahish-e-duniya nahin rakhta
Faragh Rohvi