jis din se hum junun ke hain daman lage hue
daman ki ja yahan hain gareban lage hue
allah re qaid-KHana-e-hasti ki dam ke sath
har ek qadam pe lakhon hain zindan lage hue
roya main dekh marqad-e-majnun ko dhaD mar
the ja-e-gul daraKHt-e-mughilan lage hue
bare chhuTe asir-e-bala us gali mein aaj
hain tud-ha-e-ganj-e-shahidan lage hue
yaran-e-pesh-rau zara Thahro ki jyun jaras
hum pichhe pichhe aate hain nalan lage hue
rakh soch kar qadam meri wadi mein gard-e-baad
panw se apne hain ye bayaban lage hue
koi to mere naseh-e-dana se ye kaho
dil chhuTte hain baaton mein nadan lage hue
kya din the wo bhi 'lutf' ki rahte the misl-e-zulf
kanon se us ke hum se pareshan lage hue
Ghazal
Jis din se hum junun ke hain daman lage hue
Mirza Ali Lutf