jis din se apna tarz-e-faqirana chhuT gaya
shahi to mil gai dil-e-shahana chhuT gaya
koi to gham-gusar tha koi to dost tha
ab kis ke pas jaen ki virana chhuT gaya
duniya tamam chhuT gai paimane ke liye
wo mai-kade mein aae to paimana chhuT gaya
kya tez-pa the din ki tamazat ke qafile
hathon se rishta-e-shab-e-afsana chhuT gaya
ek din hisab hoga ki duniya ke waste
kin sahibon ka maslak-e-rindana chhuT gaya
Ghazal
Jis din se apna tarz-e-faqirana chhuT gaya
Mustafa Zaidi