اردو हिंदी
Jis dilruba sun dil kun mere ittihad hai | Shaahi Shayari
jis dilruba sun dil kun mere ittihad hai

Ghazal

Jis dilruba sun dil kun mere ittihad hai

Wali Mohammad Wali

;

jis dilruba sun dil kun mere ittihad hai
didar us ka meri ankhan ki murad hai

rakhta hai bar mein dilbar-e-rangin KHayal kun
manind aarasi ke jo saf e'tiqad hai

shayad ki dam-e-ishq mein taza hua hai band
wade pe gul-ruKHan ke jise e'timad hai

baqi rahega jaur-o-sitam roz-e-hashr lag
tujh zulf ki jafa mein nipaT imtidad hai

maqsud-e-dil hai us ka KHayal ai 'wali' mujhe
jyun mujh zaban pe nam-e-mohamad murad hai