jis dil mein teri zulf ka sauda nahin hota
wo dil nahin hota nahin hota nahin hota
aashiq jise kahte hain wo paida nahin hota
aur hoe bhi bil-farz to mujh sa nahin hota
jo kushta-e-tegh-e-nigah-e-yar hain un par
kuchh kargar ejaz-e-masiha nahin hota
mana ki sitam karte hain mashuq magar aap
jo mujh pe rawa rakhte hain aisa nahin hota
jo mast hai saqi nigah-e-mast ka wo tu
minnat-kash-e-jam-o-mai-o-mina nahin hota
kahta hai koi shoala-e-jawwala koi barq
is dil pe guman logon ko kya kya nahin hota
zahid ho do-chaar-e-nigah-e-mast to dekhen
aaluda ba-mai kyunki musalla nahin hota
han kuchh to bayan-e-hawas-e-dil mein hai lazzat
jo lab se juda harf-e-tamanna nahin hota
taskin-e-dil-e-soKHta-e-shamma ki KHatir
kis shab par-e-parwana se pankha nahin hota
dil ishq ne itna bhi na chhoDa ki jo kahwen
taqsim juz-e-la-yatajazza nahin hota
de baiThe ho dil 'aish' tum un logon ko jin ki
bedad ka wan bhi koi shunwa nahin hota
Ghazal
Jis dil mein teri zulf ka sauda nahin hota
Aish Dehlvi