jis dam wo sanam sawar howe
ta-e-said-e-haram shikar howe
jo uTh na sake teri gali se
rahne de ki ta-ghubar howe
mohkam tu rawaq ban sake hai
go umr ki paedar howe
wo qasr to chahta nahin main
jis mein gul o gul-ezar howe
wusat mere sine bich ai dahr
Tuk dil ko shagufta war howe
sozan ki na jaib kijo minnat
yun phaTiyo ki tar tar howe
shabnam se bhare hai saghar-e-gul
gardun to KHarab-o-KHwar howe
pani nahin dete us ko zalim
jo zaKHmi-e-be-shumar howe
naseh tu qasam le hum se, dil par
apna kabhu iKHtiyar howe
khinche hai koi bhi tegh pyare
jamdhar ki jab aab-dar howe
kin zaKHmon mein zaKHm hai ki jab tak
chhati ke na war par howe
khinchi hai bhawan ne tegh mukh par
'sauda' se kaho nisar howe
waise hi kahe ye kaam gul-ru
aashiq hi na go hazar howe

Ghazal
Jis dam wo sanam sawar howe
Sauda Mohammad Rafi