jis dam tere kuche se hum aan nikalte hain
har gam pe dahshat se be-jaan nikalte hain
ye aan hai ai yaro ya nok hai barchhi ki
ya sine se tiron ke paikan nikalte hain
rindon ne kahin un ki KHidmat main be-adabi ki
jo shaiKH ji majlis se sarsan nikalte hain
ye tifl-e-sarishk apne aisa ho miyan bahken
be-tarah ye ab ghar se nadan nikalte hain
ye zid hai jinhen yaro aa jaen jo mashhad par
to tham ke hathon se daman nikalte hain
kis tarah ghubar un tak pahunchega bhala apna
'asif' jo kabhi ghar se KHuban nikalte hain
Ghazal
Jis dam tere kuche se hum aan nikalte hain
Asif-ud-Daula