jis dam qafas mein mausam-e-gul ki KHabar gai
ek bar qaidiyon pe qayamat guzar gai
dhundla gae nuqush to saya sa ban gaya
dekha kiya main un ko jahan tak nazar gai
behtar tha main jo dur se phulon ko dekhta
chhune se patti patti hawa mein bikhar gai
kitne hi log sahib-e-ehsas ho gae
ek be-nawa ki chiKH baDa kaam kar gai
tanhaiyon ke shahr mein kaun aaega 'shakeb'
so jao ab to raat bhi aadhi guzar gai
Ghazal
Jis dam qafas mein mausam-e-gul ki KHabar gai
Shakeb Jalali