jis bhi lafz pe ungliyan rakh de saz kare
nazm ki marzi kaise bhi aaghaz kare
kaun lagae qadghan KHwab mein ashiya par
aaina hath milae aks aawaz kare
jab bachchon ko dekhta hun to sochta hun
malik in phulon ki umr daraaz kare
sote jagte kuchh bhi bolta rahta hun
kaun bhala mujh aise ko hamraaz kare
qadam qadam par in ki zarurat paDti hai
aankh se kahna aansu pas-andaz kare
Ghazal
Jis bhi lafz pe ungliyan rakh de saz kare
Zia-ul-Mustafa Turk