jis bhi jagah dekhi us ne apni taswir haTa li thi
mere dil ki diwaron par dimak lagne wali thi
ek parinda uDne ki koshish mein gir gir jata tha
ghar jaana tha us ko par wo raat bahut hi kali thi
aangan mein jo dip qataron mein rakkhe the dhuan hue
hawa chali us raat bahut jab mere ghar diwali thi
ek muddat par ghar lauTa tha pas jab us ke baiTha main
mujh mein bhi maujud nahin thi wo KHud mein bhi KHali thi
'arsh' bahaaron mein bhi aaya ek nazara patjhaD ka
sabz shajar ke sabz tane par ek sukhi si Dali thi
Ghazal
Jis bhi jagah dekhi usne apni taswir haTa li thi
Vijay Sharma Arsh