jis baat ko sun kar tujhe taklif hui hai
duniya mein usi baat ki tarif hui hai
paigham-e-masarrat pe KHushi KHub hai lekin
sunte hain ki ham-sae ko taklif hui hai
bigDe hue kuchh harf hain be-mani se kuchh lafz
ye zist ke auraq ki talif hui hai
rudad mein aisi to koi baat nahin thi
mano ki na mano koi tahrif hui hai
dushman pe bhi guzre na kabhi aisa zamana
kaliyon ke chaTakne se bhi taklif hui hai
likhta tha qaside to koi sunta nahin tha
likhne laga jab hajw to tarif hui hai
Ghazal
Jis baat ko sun kar tujhe taklif hui hai
Waqar Vasiqi