jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili
mujhe to apni bhi yaro KHabar usi se mili
badal badal ke chala samt o rahguzar bhi magar
wo ek maqam ki har rahguzar usi se mili
hum aise koi hunar-mand bhi na the phir bhi
wo qadr-dan tha ki dad-e-hunar usi se mili
wo kaun hain jo banate hain apni duniya KHud
hamein to rone ko bhi chashm-e-tar usi se mili
ajab tha shaKHs jo phirta tha KHud bana talwar
chali jo tegh to mujh ko sipar usi se mili
qadam qadam pe the raste mein mah-washon ke hujum
mili kisi se to ja kar nazar usi se mili
na kisht-zaron mein dekha jise na baghon mein
har ek fasl magar fasl par usi se mili
tamam umr gurezan raha tha jis se main
qadam lahad mein jo rakkhe kamar usi se mili
basirat-e-nigah-o-dil paDi nahin milti
mili jise bhi ye daulat 'umar' usi se mili
Ghazal
Jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili
Umar Ansari