jinhen tha faKHr nawab-o-najib hote hain
ab un ke ghar mein tamashe ajib hote hain
yazid-e-waqt ko jo barmala hi Tok sake
raqam wo nam hi zer-e-salib hote hain
wo jan ko tu ne baDa dil diya hai mere KHuda
to kyun ye hota hai aksar gharib hote hain
jo log mazhab-o-maslak ki had se upar hain
hamare dil ke wo yaksar qarib hote hain
duaon mein jinhen man bap yaad hi na rakhen
amir-e-waqt hon lekin gharib hote hain
Ghazal
Jinhen tha faKHr nawab-o-najib hote hain
Abid Kazmi