اردو हिंदी
Jinhen ras aa gae hain ye sahar-numa andhere | Shaahi Shayari
jinhen ras aa gae hain ye sahar-numa andhere

Ghazal

Jinhen ras aa gae hain ye sahar-numa andhere

Ahmad Rahi

;

jinhen ras aa gae hain ye sahar-numa andhere
ye talash-e-subh-e-nau mein kabhi ham-safar the mere

thin jo qatl-gahen un ki hain wahi qayam-gahen
the jo rahzanon ke maskan hain wo rahbaron ke Dere

main jahan-e-be-dili mein kahan le ke jaun dil ko
mere dil ki ghat mein hain yahan chaar-su luTere

ai shabon ke pasbanon main ye tum se puchhta hun
jinhen pujte rahe ho wo kahan gae sawere

are main to be-nawa hun jo kabhi na bik sakega
are tum sunar ho kar yahan ban gae kasire