اردو हिंदी
Jinhen mahfilon se gharaz na thi wo jo qaid apne gharon mein the | Shaahi Shayari
jinhen mahfilon se gharaz na thi wo jo qaid apne gharon mein the

Ghazal

Jinhen mahfilon se gharaz na thi wo jo qaid apne gharon mein the

Farasat Rizwi

;

jinhen mahfilon se gharaz na thi wo jo qaid apne gharon mein the
wahi eatibar-e-zamana the wahi log dida-waron mein the

hue hath ab to lahu lahu sar-e-chashm andhera hai chaar-su
kabhi hum bhi aaina-saz the kabhi hum bhi shisha-garon mein the

chali shahr mein wo hawa-e-zar ki ghubar ban ke gae bikhar
wo jo KHwab aankhon mein the makin wo junun jo apne saron mein the

mere muhsinon mein hain shahr ke ye tawil-o-ashna raste
kahin aur jae aman na thi ki ghanim-e-jaan to gharon mein the

wahi jin ki tegh se ban gaya mera shahr maqtal-e-KHun-fishan
sar-e-am dida-e-nam liye wahi log nauhagaron mein the

ek udas basti mein waqt-e-shab main gaya to aise makan the sab
na to khiDkiyon mein the mah-ru na charagh un ke daron mein the

sar-e-sham dur fazaon mein ye jo aaine se chamak uThe
yahi Dhalti dhup ke rang the ki jo taeron ke paron mein the