jin zaKHmon par tha naz hamein wo zaKHm bhi bharte jate hain
sansen hain ki ghaTti jati hain din hain ki guzarte jate hain
diwar hai gum-sum dar tanha phir hote chale hain shajar tanha
kuchh dhup si Dhalti jati hai kuchh sae utarte jate hain
hum yunhi nahin hain sust-qadam hum jaante hain farda kya hai
shayad koi de aawaz hamein rah rah ke Thaharte jate hain
aawaz wo shisha-e-nazuk hai mehrab-e-nazar mein rahne de
kyun farsh samaat par gir kar reze ye bikharte jate hain
roen ya hansen is haalat par ehsas ye hota hai aksar
wada to kisi se 'shaz' na tha hum hain ki mukarte jate hain
Ghazal
Jin zaKHmon par tha naz hamein wo zaKHm bhi bharte jate hain
Shaz Tamkanat