jin se hum chhuT gae ab wo jahan kaise hain
shaKH-e-gul kaisi hai KHushbu ke makan kaise hain
ai saba tu to udhar hi se guzarti hogi
us gali mein mere pairon ke nishan kaise hain
pattharon wale wo insan wo behis dar-o-baam
wo makin kaise hain shishe ke makan kaise hain
kahin shabnam ke shagufe kahin angaron ke phul
aa ke dekho meri yaadon ke jahan kaise hain
koi zanjir nahin laeq-e-izhaar-e-junun
ab wo zindani-e-andaz-e-bayan kaise hain
le ke ghar se jo nikalte the junun ki mashal
is zamane mein wo sahab-nazaran kaise hain
yaad jin ki hamein jine bhi na degi 'rahi'
dushman-e-jaan wo masiha-nafasan kaise hain
Ghazal
Jin se hum chhuT gae ab wo jahan kaise hain
Rahi Masoom Raza