اردو हिंदी
Jinko har haalat mein KHush aur shadman pata hun main | Shaahi Shayari
jinko har haalat mein KHush aur shadman pata hun main

Ghazal

Jinko har haalat mein KHush aur shadman pata hun main

Afsar Merathi

;

jin ko har haalat mein KHush aur shadman pata hun main
un ke gulshan mein bahaar-e-be-KHizan pata hun main

subh ki manzil ka taron se pata kya puchhna
zulmat-e-shab karwan-dar-karwan pata hun main

chand ke us par suraj se udhar taron se dur
raqs karte roz-o-shab lakhon jahan pata hun main