اردو हिंदी
Jin ki hasrat mein dil-e-ruswa ne gham khae bahut | Shaahi Shayari
jin ki hasrat mein dil-e-ruswa ne gham khae bahut

Ghazal

Jin ki hasrat mein dil-e-ruswa ne gham khae bahut

Mahtab Zafar

;

jin ki hasrat mein dil-e-ruswa ne gham khae bahut
sang hum par in darichon ne hi barsae bahut

raushni madum gahre ho chale sae bahut
jaane kyun tum aaj ki shab mujh ko yaad aae bahut

qismat-e-ahl-e-qafas phulon ki KHushbu bhi nahin
yun to gulshan mein saba ne phul mahkae bahut

log is ko bhi agar kahte hain to kah len bahaar
muskurae kam shagufe aur murjhae bahut

ek aansu bhi gire to gunj uThti hai zamin
aaj to hum apni tanhai se ghabrae bahut

ek rasm-e-sarfaroshi thi so ruKHsat ho gai
yun to diwane hamare baad bhi aae bahut

ishrat-e-hasti pe thi 'mahtab' duniya ki nazar
dil ko kya kahiye ki us ne dard apnae bahut