jin KHwabon se nind uD jae aise KHwab sajae kaun
ek pal jhuTi taskin pa kar sari raat ganwae kaun
ye tanhai ye sannaTa dil ko magar samjhae kaun
itni bhayanak raat mein aaKHir milne wala aae kaun
sunte hain ki in rahon mein majnun aur farhad luTe
lekin ab aadhe raste se lauT ke wapas jae kaun
sunte samajhte hon to un se koi apni baat kahe
gungon aur bahron ke aage Dhol bajaane jae kaun
us mahfil mein log hain jitne sab ko apna rona hai
'tabish' main KHamosh-tabiat mera haal sunae kaun
Ghazal
Jin KHwabon se nind uD jae aise KHwab sajae kaun
Fazl Tabish