jin KHak ke zarron par wo saya-e-mahmil tha
jo KHak ka zarra tha wahshat-kada-e-dil tha
bedad ki har tah mein sau tarah se shamil tha
wo jaan ka dushman jo kahne ko mera dil tha
gham husn-e-mukammal tha dil hairat-e-kaamil tha
taswir ka aaina taswir ke qabil tha
hum ji se guzar jaana aasan samajhte the
dekha to mohabbat mein ye kaam bhi mushkil tha
aaina-o-dil donon kahne hi ki baaten thin
teri hi tajalli thi aur tu hi muqabil tha
har baatil-o-har-nahaq ek raaz-e-haqiqat hai
jis shakl mein haq aaya wabasta-e-baatil tha
han aap kisi ko yun barbaad nahin karte
ye 'fani'-e-nakara sach hai isi qabil tha
Ghazal
Jin KHak ke zarron par wo saya-e-mahmil tha
Fani Badayuni