اردو हिंदी
Jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai | Shaahi Shayari
jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai

Ghazal

Jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai

Akbar Hyderabadi

;

jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai
mail un ki samt zamana kam kam hota hai

raste hi mein ho jati hain baaten bas do-chaar
ab to un ke ghar bhi jaana kam kam hota hai

mushkil hi se kar leti hai duniya use qubul
aisi haqiqat jis mein fasana kam kam hota hai

kabhi jo baaten ishq ke sal-o-sin ka hasil thin
ab un baaton ka yaad aana kam kam hota hai

rind sabhi saghar par saghar chhalkate jate hain
kyun labrez mera paimana kam kam hota hai

baat pate ki kar jata hai yun to kabhi kabhi
hosh mein lekin ye diwana kam kam hota hai

kitni muqaddas hogi 'akbar' us bachche ki pyas
jis ki ek Thokar se rawana zamzam hota hai