اردو हिंदी
Jin jinko tha ye ishq ka aazar mar gae | Shaahi Shayari
jin jinko tha ye ishq ka aazar mar gae

Ghazal

Jin jinko tha ye ishq ka aazar mar gae

Mir Taqi Mir

;

jin jin ko tha ye ishq ka aazar mar gae
aksar hamare sath ke bimar mar gae

hota nahin hai us lab-e-nau-KHat pe koi sabz
isa o KHizr kya sabhi yak-bar mar gae

yun kanon-kan gul ne na jaana chaman mein aah
sar ko paTak ke hum pas-e-diwar mar gae

sad karwan wafa hai koi puchhta nahin
goya mata-e-dil ke KHaridar mar gae

majnun na dasht mein hai na farhad koh mein
tha jin se lutf-e-zindagi we yar mar gae

gar zindagi yahi hai jo karte hain hum asir
to we hi ji gae jo giraftar mar gae

afsos we shahid ki jo qatl-gah mein
lagte hi us ke hath ki talwar mar gae

tujh se do-chaar hone ki hasrat ke mubtila
jab ji hue wabaal to na-chaar mar gae

ghabra na 'mir' ishq mein us sahal-e-zist par
jab bas chala na kuchh to mere yar mar gae