jin ankhDiyon mein na tha kuchh shararaton ke siwa
un ankhDiyon mein nahin kuchh bhi hasraton ke siwa
labon pe mauj-e-tabassum ka ahd bit gaya
labon pe aaj nahin kuchh shikayaton ke siwa
wo anjuman ka tasawwur kare to kaise kare
jise nasib na ho kuchh bhi KHalwaton ke siwa
ek aaina hun junun-o-KHirad ka aaina
meri nazar mein nahin kuchh bhi hairaton ke siwa
usi se puchh mere intizar ka aalam
jise na kuchh bhi mayassar ho fursaton ke siwa
gudaz-e-saghar-o-paimana kaun samjha hai
mere siwa mere dil ki nazakaton ke siwa
kami usi mein tamannaen jalwa-gar thin 'kamal'
kuchh aaj dil mein nahin hai jarahaton ke siwa
Ghazal
Jin ankhDiyon mein na tha kuchh shararaton ke siwa
Kamal Ahmad Siddiqi