اردو हिंदी
Jila-watan hun mera ghar pukarta hai mujhe | Shaahi Shayari
jila-watan hun mera ghar pukarta hai mujhe

Ghazal

Jila-watan hun mera ghar pukarta hai mujhe

Iftikhar Naseem

;

jila-watan hun mera ghar pukarta hai mujhe
udas nam khula dar pukarta hai mujhe

kisi ki chap musalsal sunai deti hai
safar mein koi barabar pukarta hai mujhe

sadaf hun lahren dar-e-jism khaTkhaTati hain
kanar-e-ab wo gauhar pukarta hai mujhe

har ek moD mere panw se lipaTta hai
har ek mil ka patthar pukarta hai mujhe

phansa hua hai mere hath ki lakiron mein
mera huma-e-mqaddar pukarta hai mujhe

na jaane kya tha ki main duriyon mein kho aaya
wo apne pas bula kar pukarta hai mujhe

chali hai sham-e-shafaq-rang baadban le kar
dabiz shab ka samundar pukarta hai mujhe

paron ka bojh jhaTak kar main uD gaya hun 'nasim'
zamin par mera paikar pukarta hai mujhe