اردو हिंदी
Jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte | Shaahi Shayari
jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte

Ghazal

Jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte

Aanis Moin

;

jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte
bachche lekin soe hue the kis se kahani kahte

sach kahne ka hausla tum ne chhin liya hai warna
shahr mein phaili virani ko sab virani kahte

waqt guzarta jata aur ye zaKHm hare rahte to
baDi hifazat se rakkhi hai teri nishani kahte

wo to shayad donon ka dukh ek jaisa tha warna
hum bhi patthar marte tujh ko aur diwani kahte

tabdili sachchai hai is ko mante lekin kaise
aaine ko dekh ke ek taswir purani kahte

tera lahja apnaya ab dil mein hasrat si hai
apni koi baat kabhi to apni zabani kahte

chup rah kar izhaar kiya hai kah sakte to 'anas'
ek alahida tarz-e-suKHan ka tujh ko bani kahte