jiwan ki bagiya se hum ko kya sundar saughat mili
phulon ka sehra bandha to shoalon ki baraat mili
chand bhaTakta dekha sab ne mere shahr ki galiyon mein
tanhai ka bhes badal kar yaad teri jis raat mili
hum bhi kitne KHush-qismat hain hamein tumhaare aangan se
suraj ki KHairaat mili to kali raat bhi sath mili
us ko koi khel kahen ya qismat ka andher kahen
jis ne sari duniya jiti us ko pyar mein mat mili
rahe tere sheron mein hai lams kunware jismon ka
patjhaD mein bhi tujh ko kachchi kaliyon ki saughat mili
Ghazal
Jiwan ki bagiya se hum ko kya sundar saughat mili
Sohan Rahi