jiwan hai pal pal ki uljhan kis kis pal ki baat karen
in lamhon ko bhul ke hum tum git ghazal ki baat karen
roz hi pina roz pilana roz ghamon se Takrana
ek din mai ko bhul ke aao ganga-jal ki baat karen
sau barson ke is jine se hasil kya ho paega
jis ne dil ko KHushiyan di hon us ek pal ki baat karen
kya paya hai bhiD mein kho kar kya paya tanhai mein
aao yaro in rasmon ke pher-badal ki baat karen
aaj wafa ki rah 'musafir' dhundli dhundli lagti hai
kohra jis ne barsaya hai us baadal ki baat karen
Ghazal
Jiwan hai pal pal ki uljhan kis kis pal ki baat karen
Vilas Pandit Musafir