jita hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
ek roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh
manzil yahin hai aam ke peDon ki chhanw mein
ai shahsawar ghoDe se niche utar ke dekh
TuTe paDe hain kitne ujalon ke ustuKHwan
saya-numa andhere ke andar utar ke dekh
phulon ki tang-damani ka tazkira na kar
KHushbu ki tarah mauj-e-saba mein bikhar ke dekh
tujh par khulenge maut ki sarhad ke raste
himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh
dariya ki wusaton se use napte nahin
tanhai kitni gahri hai ek jam bhar ke dekh
Ghazal
Jita hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
Adil Mansuri