jit kar bhi phir se haari zindagi
puchhiye mat kyun guzari zindagi
ek mahajan sab ke upar hai khaDa
jis ne hum ko di udhaari zindagi
chuna kattha lag raha hai aae din
pan biDi aur supari zindagi
ek taraf mahmud sa andaz hai
ek taraf mina-kumari zindagi
ho gai hai is 'hani' se bor jab
phir to bas 'rahat' pukari zindagi
chain ki phir nind aai qabr mein
apne tan se jab utari zindagi
Ghazal
Jit kar bhi phir se haari zindagi
Nazeer Nazar