jit kar bazi-e-ulfat ko bhi haara jae
is tarah husn ko shishe mein utara jae
ab to hasrat hai ki barbaad kiya hai jis ne
us ka diwana mujhe kah ke pukara jae
aap ke husn ki tausif se maqsad hai mera
naqsh-e-fitrat ko zara aur ubhaara jae
tum hi batlao ki jab apne hi begane hain
dahr mein apna kise kah ke pukara jae
zehn-e-KHuddar pe ye bar hi ho jata hai
ghair ke samne daman jo pasara jae
kitni dushwar hai pabandi-e-ain-e-wafa
aah bhi lab pe agar aae to mara jae
shab to kaT jaegi yaadon ke sahaare 'wasfi'
fikr is ki hai ki din kaise guzara jae
Ghazal
Jit kar bazi-e-ulfat ko bhi haara jae
Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi