jit aur haar ka imkan kahan dekhte hain
ganw ke log hain nuqsan kahan dekhte hain
jab se dekha hai tere chehre ko is shahar ke log!
phul baghicha o gul-dan kahan dekhte hain
qimti shai thi tera hijr uThae rakkha
warna sailab mein saman kahan dekhte hain
mujh ko aflak se hijrat ki sada aati hai,
aadmi ishq mein zindan kahan dekhte hain
'amir' is taKHt mein tabut nazar aata hai
dekhte hum hain ye darban kahan dekhte hain

Ghazal
Jit aur haar ka imkan kahan dekhte hain
Rana Amir Liyaqat