jine wala ye samajhta nahin saudai hai
zindagi maut ko bhi sath laga lai hai
ye bhi mushtaq-ada wo bhi tamannai hai
khinch ke duniya tere kuche mein chali aai hai
khul gae naza mein asrar-e-tilism-e-hasti
zist kahte hain jise maut ki angDai hai
kah gae ahl-e-chaman ye tere diwanon se
hosh mein aao zamane mein bahaar aai hai
main kisi roz dikhaun dil-e-sad-chaak-ada
tujh ko malum to ho kya teri angDai hai
DhunDhti kyun na rahe us ko abad tak duniya
jis ne chhupne ki azal hi mein qasam khai hai
phuT kar panw ke chhaale mere lae ye rang
bagh to bagh hai sahra mein bahaar aai hai
jalwa-e-roz-e-azal ne mujhe bechain kiya
pahli duniya mein ye pahli teri angDai hai
jis ki sehat ke liye aap duaen mangen
aise bimar ko bhi maut kahin aai hai
tegh-e-qatil ko pas-e-qatl nadamat hogi
dam se 'bismil' hi ke ye marka-arai hai
Ghazal
Jine wala ye samajhta nahin saudai hai
Bismil Allahabadi