jine mein thi na naza ke ranj o mehan mein thi
aashiq ki ek baat jo diwana-pan mein thi
sada waraq tha bahama gul-ha-e-rang-rang
tafsir jaan pak bayaz-e-kafan mein thi
baDhta tha aur zauq-e-talab bekasi ke sath
kuchh dilkashi ajib nawah-e-watan mein thi
bimar jab hain karte hain fariyaad chaaragar
kya dastan-e-dard sukut-e-mahan mein thi
kahta tha chashm-e-shauq se wo aaftab-e-husn
halki si ek shua thi jo anjuman mein thi
kuchh iztirab-e-ishq ka aalam na puchhiye
bijli taDap rahi thi ki jaan is badan mein thi
kis se kahun ki thi wahi gul-ha-e-rang-rang
bikhri hui jo KHak sawad-e-chaman mein thi
Ghazal
Jine mein thi na naza ke ranj o mehan mein thi
Jagat Mohan Lal Ravan