اردو हिंदी
Jine mein aasani rakh | Shaahi Shayari
jine mein aasani rakh

Ghazal

Jine mein aasani rakh

Zia Zameer

;

jine mein aasani rakh
ek taswir purani rakh

samne rakh kar aaina
chehre par hairani rakh

muKHlis agar ziyaada hain
koi dushman-e-jaani rakh

kahna sab ka man magar
thoDi si man-mani rakh

is ko yun mat marne de
apni aankh ka pani rakh

mere aage sab chizen
jaani aur pahchani rakh