jine ki tamanna hai na marne ki tamanna
hai aap ke kuche se guzarne ki tamanna
tajdid-e-talluq ki ab ummid hai jaise
Dubi hui kashti ke ubharne ki tamanna
be-saKHta aa jaiye parde se nikal kar
aaine ko rah jae sanwarne ki tamanna
suraj ko samundar mein Dubo deti hai har sham
aaram se ek raat guzarne ki tamanna
jannat se nikalwaegi 'sultan' tumhein phir
us shoKH ke shishe mein utarne ki tamanna
Ghazal
Jine ki tamanna hai na marne ki tamanna
Sultan Nizami