jine ki hai ummid na marne ka yaqin hai
ab dil ka ye aalam hai na duniya hai na din hai
gum hain reh-e-taslim mein talib bhi talab bhi
sajda hi dar-e-yar hai sajda hi jabin hai
kuchh mazhar-e-baatin hun to kuchh mahram-e-zahir
meri hi wo hasti hai ki hai aur nahin hai
iza ke siwa lazzat-e-iza bhi milegi
kyun jalwa-gah-e-hosh yahan dil bhi kahin hai
mayus sahi hasrati-e-maut hun 'fani'
kis munh se kahun dil mein tamanna hi nahin hai
Ghazal
Jine ki hai ummid na marne ka yaqin hai
Fani Badayuni