jine ka lutf kuchh to uThao nashe mein aao
hanste hain kaise gham mein dikhao nashe mein aao
nashsha pila ke KHub mera haal-e-dil suna
kuchh tum bhi dil ki baat batao nashe mein aao
tum hosh mein jab aae to aafat hi ban ke aae
ab mere pas jab bhi tum aao nashe mein aao
dil mein ghubar rakhna hai tauhin-e-mai-kashi
bas KHatm uTh ke hath milao nashe mein aao
ye zindagi ki raat hai tarik kis qadar
donon siron pe shama jalao nashe mein aao
'wamiq' ye dil ki pyas bhala yun bujhegi kya
ab aag hi se aag bujhao nashe mein aao
Ghazal
Jine ka lutf kuchh to uThao nashe mein aao
Wamiq Jaunpuri