اردو हिंदी
Jine dega bhi hamein ai dil jien bhi ya na hum | Shaahi Shayari
jine dega bhi hamein ai dil jien bhi ya na hum

Ghazal

Jine dega bhi hamein ai dil jien bhi ya na hum

Natiq Gulavthi

;

jine dega bhi hamein ai dil jien bhi ya na hum
kya kahen ab tujh ko hum tujh ko kahen ab kya na hum

uTh gae hum darmiyan se uTh gaya hum se hijab
rah gae hum us ke ho kar rah gaya parda, na hum

daulat-e-dil kya hai ja kar ahl-e-dil se puchhiye
mal tha apna bhi kuchh jaane magar rakhna na hum

ranj-e-ruswai nahin duniya hai ruswai ka ghar
hain sabhi ruswa to yun samjho na tum ruswa na hum

faeda kya rahti duniya tak agar koi raha
ye to zahir hai ki rahne ke liye duniya na hum

kha gai ahl-e-hawas ki waza ahl-e-ishq ko
baat kis ki rah gai koi adu sachcha na hum

KHud-faramoshi ne rakkha hai giraftar-e-KHudi
chhuTte kyun chhoDte daman agar apna na hum

is se kuchh hoti agar 'natiq' hamein taskin-e-taba
aaj tak sab jama kar lete kalam apna na hum