jina marna donon muhaal
ishq bhi hai kya ji ka wabaal
mal-o-manal-o-jah-o-jalal
apni nazar mein wahm-o-KHayal
hum na samajh pae ab tak
duniya ki shatranji chaal
kuchh to shah bhi tumhaari thi
warna dil ki aur ye majal
kis kis se hum nibtenge
ek hai jaan aur sau janjal
mast ko girne de saqi
han us ke shaer ko sambhaal
hum aur KHauf-e-ruswai
naseh bhi karta hai kamal
un ki nazar se gir gaya jab
shisha-e-dil mein aaya baal
kuchh duniya ke kuchh dil ke
rog liye hain hum ne pal
saqi saghar bhar de jald
Dhaal nigahon se bhi Dhaal
umr to kya pai hai magar
guzre hain kuchh mah-o-sal
sab dil ki nadani hai
kaisa firaq aur kis ka visal
apni wafa bhi nirali hai
un ki jafa bhi be-timsal
ek nigah ki gardish ne
kya kya fitne diye hain uchhaal
'kaif'-e-hazin-o-KHasta ki yaad
mumkin ho to dil se nikal
Ghazal
Jina marna donon muhaal
Saraswati Saran Kaif