jina hai to jine ki pahli si ada mango
firaun se Takrao musa se asa mango
har rah mein KHud chhoDo qadmon ke nishan apne
tauhin hai ghairon se naqsh-e-kaf-e-pa mango
mangunga bahut kuchh main socha to ye tha lekin
lab ho gae patthar ke jab us ne kaha mango
raazi-ba-raza rahna hai shewa-e-ahl-e-dil
mango to bahar-surat marzi-e-KHuda mango
dar par kabhi ghairon ke jo tum ko na jhukne de
taufiq-e-ilahi se kuchh aisi ana mango
kis haal mein rakkha hai dekhen to hamein dil mein
is shoala-e-rangin se aaina zara mango
masti mein 'tufail' us ne mujh ko ye dua di thi
allah kare puri tum jo bhi dua mango
Ghazal
Jina hai to jine ki pahli si ada mango
Tufail Ahmad Madni