اردو हिंदी
Jina hai sab ke sath ki insan main bhi hun | Shaahi Shayari
jina hai sab ke sath ki insan main bhi hun

Ghazal

Jina hai sab ke sath ki insan main bhi hun

Qamar Iqbal

;

jina hai sab ke sath ki insan main bhi hun
chehre badal badal ke pareshan main bhi hun

jhonka hawa ka chupke se kanon mein kah gaya
ek kanpte diye ka nigahban main bhi hun

inkar ab tujhe bhi hai meri shanaKHt se
lekin na bhul ye teri pahchan main bhi hun

aankhon mein manzaron ko jab aabaad kar liya
dil ne kiya ye tanz ki viran main bhi hun

apne siwa kisi se nahin dushmani 'qamar'
har lamha KHud se dast o gareban main bhi hun