jina hai ek shaghl so karte rahe hain hum
hai zindagi gawah ki marte rahe hain hum
sahte rahe hain zulm hum ahl-e-zamin ke
ilzam aasman pe dharte rahe hain hum
milte rahe hain raaz hamein ahal-e-zohd ke
naz apne shaghl-e-jam pe karte rahe hain hum
ahbab ki nigah pe chaDhte rahe magar
aghyar ke dilon mein utarte rahe hain hum
jaise ki un ke ghar ka pata jaante nahin
yun un ki rahguzar se guzarte rahe hain hum
karte rahe hain qaum se hum ishq be-panah
han nasehan-e-qaum se Darte rahe hain hum
sharmaen kyun na hum se ufuq ki bulandiyan
KHud apne baal-o-par ko katarte rahe hain hum
Ghazal
Jina hai ek shaghl so karte rahe hain hum
Arshad Kakvi