ji uThe hashr mein phir ji se guzarne wale
yan bhi paida hue phir aap pe marne wale
chus kar kis ne chhuDai hai missi honThon ki
samne munh to karen baat na karne wale
shab-e-matam ki udasi hai suhani kitni
chhanw mein taron ki nikle hain sanwarne wale
hum to samjhe the ki dushman pe uThaya KHanjar
tum ne jaana ki hamin tum pe hain marne wale
pi ke aae hain kahin hath na bahke waiz
daDhi katren na kahin jeb katarne wale
sin hi kya hai abhi bachpan hi jawani mein sharik
so rahen pas mere KHwab mein Darne wale
hath gustaKH hain uTh jaen na ye daman par
bach ke niklen mere marqad se guzarne wale
naza mein hashr ke wade ne ye taskin baKHshi
chain se so rahe munh Dhanp ke marne wale
apne daman ko sambhaale hue bhole-pan se
wo chale aate hain dil le ke mukarne wale
sabr ki mere mujhe dad zara de dena
o mere hashr ke din faisla karne wale
aati hai hur-e-jinan KHalwat-e-waiz ke liye
qabr mein utrenge mimbar se utarne wale
tere aashiq jo gae hashr mein ye shor uTha
jaen dozaKH mein dam sard ke bharne wale
zer-e-pa dil hi bichhe hon ki hain KHugar us ke
farsh-e-gul par bhi nahin paon wo dharne wale
ashk-e-gham aise nahin hain jo umanD kar rah jaen
hain ye tufan mere sar se guzarne wale
kya maza deti hai bijli ki chamak mujh ko 'riyaz'
mujh se lapTe hain mere nam se Darne wale
Ghazal
Ji uThe hashr mein phir ji se guzarne wale
Riyaz Khairabadi